kya qazaa ,kya hayaat..wo har fark mita gaya
har pal ki khudkhushi ko ab zindagi bana ke rakha hai
lamha- lamha jiska dhuan tabah kare ye dil ko
aas ka 1 aisa diya dil mein jala ke rakha hai
dil na ab bhi samajh paye fareb ko
khuda ko pathar aur pathar ko khuda bana rakha hai
koi jazba dil mein ab dam nahi todta..
ashko ko syahi aur dard ko ibaarat bana rakha hai
par hai khabar ki hoga koi apni tarah pyaasa kahin
uske liye phir bhi thoda jaam ab tak bacha k rakha hai
tried a hand on urdu words .. dnt no hw it fit .. phir b kuch likhna tha..man kar raha tha bahut dino se..blog khali khali lag rahatha :p
zabt – tolerance
qazaa-death
hayaat-life
ibaarat-compositions
Filed under: sher - o - shayri | Tagged: ZAQT